Posts

Showing posts from August, 2013

Ye zindgi bhi kya rang dikhlati ha

Ye zindgi bhi kya rang dikhlati ha, Kabhi gulshan-e-gulfam, toh kabhi farman-e-anjaam suna jaati ha, Farsh pe pade rahe wo musafir, Kon jaane, unhe konsi manzilo pe le jaati ha Ye Zindgi bhi kya rang dikhlati ha. Tapta rehta he suraj, saath me dharti ko bhi tapati ha Ye zindgi bhi kya rang dikhlati ha Aab din badal chale, dastur bhi badal chala pass unke hi kyu le jaati ha? Ye zindgi bhi kya rang dikhlati ha Dhai akshar prem ke padha kar, pehle toh khub hassati he fir khoon ke aansoo kyu rulati ha? Ye zindgi bhi kya rang dikhlati ha. Judaai ka daur kuch yu aaya ki, pass rehkar bhi woh hume yaadon me kyu bulati ha Ye zindgi bhi kya rang dikhlati ha.... Ye zindgi bhi kya rang dikhlati ha... Ye zindgi bhi kya rang dikhlati ha...